Sunday, May 9, 2010

maa


ishwar ko toh dekha nahi kahin
par uska roop toh dekh liya maine yahin.

kehte hain har koi ek sa nahi hota
par ek tu hin toh hai jiske aanchal mein sir rakh ke hamesha tera balak hai rota.

paane ko hai kuch nahi ,tune hamesha hai bas humein diya
sampurn jeevan apna hamare parvarish mein nyochawar kiya.

armaan mere bhi hai maa ki khwahishein puri karun teri
bas itni iltezaah hai khuda se ki woh madad karein unhein puri karne mein meri.

kabhi keh na paaya tujhse maa par aaj keh raha hun yeh
apna aanchal sadev rakhna mujhpe , dete rehna mamatva se paripurn sneh ...